Search Words, Couplet, Verse, Shair In Iqbal Poetry

(Bang-e-Dra-108) Bazm-e-Anjum (The Assembly of Stars)

Bazm-e-Anjum
The Assembly Of Stars

Suraj Ne Jate Jate Shaam-e-Seh Qaba Ko
Tasht-e-Ufaq Se Le Kar Lale Ke Phool Mare

While setting, the sun threw at the dark clothed evening
Tulip flowers which it had collected from horizon's basin

Pehna Diya Shafaq Ne Sone Ka Sara Zaiwar
Qudrat Ne Apne Gehne Chandi Ke Sub Utare

The twilight of evening put all ornaments of gold on it,
Nature put off its entire set of silver ornaments

Mehmil Mein Khamshi Ke Lela’ay Zulmat Ayi
Chamke Aroos-E-Shab Ke Moti Vo Pyare Pyare

The Layla of the night in the litter of silence arrived
Started shining the beautiful pearls of the evening’s bride

Vo Door Rehne Wale Hungama’ay Jahan Se
Kehta Hai Jin Ko Insan Apni Zuban Mein 'Taray'

Those living far from the commotion of the world
Which Man calls "stars" in his own language

Mehv-e-Falak Ferozi Thi Anjuman Falak Ki
Arsh-e-Bareen Se Ayi Awaz Ek Malak Ki

The sky’s assembly was busy lighting up the sky
From the 'Arsh‐i‐Barin' the call of an angel came

Ae Shab Ke Pasbano, Ae Asman Ke Taro !
Tabinda Qaum Sari Gurdoon Nasheen Tumhari

"O sentinels of the night! O stars of the sky!
The whole shining nation of yours inhabits the sky

Chairo Sarood Aesa, Jaag Uthain Sone Wale
Rahbar Hai Qaflon Ki Tab-e-Jabeen Tumhari

Start such music as may awaken all those sleeping
The brightness of your forehead is guide for caravans

Aynay Qismaton Ke Tum Ko Ye Jante Hain
Shaid Sunain Sadaeyn Ahl-e-Zameen Tumhari

The earth’s denizens consider you the destiny’s mirrors
Perhaps they will listen to your call

Rukhsat Huwi Khamoshi Taron Bhari Faza Se
Wusa’at Thi Asman Ki Ma’amoor Iss Nawa Se

Silence departed from this star‐spangled expanse
The sky’s expanse was filled with this music

Husn Azal Se Paida Taron Ki Dilbari Mein
Jis Tarah Aks-e-Gul Ho Shabnam Ki Arsi Mein

The Eternal Beauty is produced in the stars' loveliness
As the image of rose is in the looking glass of the dew

Aayen-e-Nau Se Darna, Tarz-e-Kuhan Pe Urna
Manzil Yehi Kathan Hai Qoumon Ki Zindagi Mein

To be afraid of the new ways, to insist on the old ones
This is the only difficult stage in the life of nations

Ye Karwan-e-Hasti Hai Taez Gaam Aesa
Qoumain Kuchal Gayi Hain Jis Ki Rawarawi Mein

This caravan of life is so fast moving
Many a nation is trampled in whose race

Aankhon Se Hain Humari Ghayeb Hazon Anjum
Dakhil Hain Vo Bhi Lekin Apni Baradari Mein

Thousands of stars are hidden from our eyes
But their existence is also included in our group

Ek Umer Mein Na Samjhe Iss Ko Zameen Wale
Jo Baat Pa Gaye Hum Thori Si Zindagi Mein

The earth’s denizens did not understand in a whole life
What has come in our comprehension in a short span of life

Hain Jazb-e-Bahmi Se Qaim Nazam Sare
Posida Hai Ye Nukta Taron Ki Zindagi Mein

All systems are established on mutual attraction
This secret is concealed in the life of the stars

4 comments:

  1. can any one sen me the khalasa of that nazam or tashreeh plzzzzz
    send it to 08108053@gift.edu.pk

    ReplyDelete
  2. jo b is ko send karay wo mujay b kar day to thanks

    08108145@gift.edu.pk

    ReplyDelete
  3. @noname & @Anonymous , Roman Urdu and English translation is posted, It will help You to do tashreeh.

    Main point to remember is : Iqbal Sitaron ki anjuman (mehfil) ko misal ke taor pe le rahe hain aur sitaron aur farishton ki zuban mein Muslims ko samjha rahe hain k Khawab-e-Gaflat se utho aur dunya mein change le ayo apne amal se.
    Every verse of this poem is a message to Muslims to revive their ideology, wake up from dream and practically take part in the progress of this world and make your connection with Ummah.

    ReplyDelete